jab vo kahtā hai samundar hai kināya us kā
rañg yak-laḳht badaltā hai sarāpā us kā
kab pukāregā bhalā naam bhañvar se merā
kab bhalā aa.egā phir mauj meñ dariyā us kā
dil to tahzīb-e-anā kā hai parastār magar
kyā kare koī jo ho jaa.e ishāra us kā
kab sañvāregā vo taqdīr mire lafzoñ kī
kab nazar aa.egā ash.ār meñ chehra us kā
ḳhud ko is tarah se gumnām kiyā hai us ne
shahr to shahr rahā bhī nahīñ sahrā us kā
maiñ to badnām sahī ḳhair koī baat nahīñ
chāñd jo dekhtā rahtā hai darīcha us kā
saath jab donoñ chale the to kahāñ chuuk huī
merā koī bhī nahīñ aur zamāna us kā