baqā kī chaah meñ tū dekh be-makān na ho
zamīn terī haqīqat hai āsmān na ho
rah-e-najāt meñ manzil kī justujū kis ko
ye vo safar hai ki jis meñ kabhī thakān na ho
yahāñ sabhī kī rasā.ī to ġhair mumkin hai
ye tajrabāt kī mahfil hai bad-gumān na ho
raho ḳhilāf to duniyā se vāsta na rahe
milo to aise ki phir koī darmiyān na ho
tumhārī shah pe falak kī to Thaan lī hai magar
ye zindagī kī kahīñ āḳhirī uḌaan na ho