us kī qurbat kā tamāshā bhī ajab hai sā.īñ
log bīmār samajhte haiñ ġhazab hai sā.īñ
ab tabī.at ke na lagne pe khulā mahfil meñ
ik vahī shoḳh nahīñ vaise to sab hai sā.īñ
haa.e kambaḳht ne is darja kiyā hai māyūs
maiñ samajhtā thā ki iz.hār-ba-lab hai sā.īñ
maiñ bhī kuchh apne hunar kā to dikhā.ūñ jalva
jashn-e-nauroz batā shahr meñ kab hai sā.īñ
rañg khultā hai kahāñ shaam se pahle us kā
shaam bhī der se aatī hai ġhazab hai sā.īñ
shauq merā ye nahīñ hai mirī majbūrī hai
kuchh to is tarah bhaTakne kā sabab hai sā.īñ
dard-e-dil le ke kahīñ aur bhalā kyoñ jā.ūñ
sāmne jab mire terā ye matab hai sā.īñ