Imdad Ali Bahr

dosto dil kahin zinhaar na aane pae

Imdad Ali Bahr

1810-1878
dosto dil kahīñ zinhār na aane paa.e
dil ke hāthoñ koī āzār na aane paa.e
kījiye husn-parastī magar is qaid ke saath
pyārī sūrat pe zarā pyaar na aane paa.e
ḳhāna-e-yār ghar aafat kā hai ai rahgīro
jism par sāya-e-dīvār na aane paa.e
ai junūñ terā zamāne meñ rahe jab tak daur
hosh meñ āshiq-e-sarshār na aane paa.e
aap par uqda-e-nāzuk-kamarī khul jaatā
tā-kamar gesū-e-ḳhamdār na aane paa.e
chashm-e-mahbūb se nargis ko barābar na karo
paas bīmār ke bīmār na aane paa.e
'bahr' kuchh ġham na karo dil ke judā hone kā
ab baġhal meñ ye bad-atvār na aane paa.e
Top Urdushayar.com