kahīñ jā.ūñ ta.alluq kā sitāra chaltā rahtā hai
mire hamrāh ye kis kā ishāra chaltā rahtā hai
basīrat kho ga.ī lekin tavaqqo.a hai bashārat kī
kisī ke naam kā ab bhī sahārā chaltā rahtā hai
ab ik qatra bhī dil kī jhiil meñ paanī nahīñ rahtā
magar kyā kījiye tab bhī shikārā chaltā rahtā hai
kahāñ tum ārzūoñ kī havelī DhūñDne nikle
yahāñ to be-panāhī meñ guzārā chaltā rahtā hai
ham apne dostoñ par naaz kuchh yūñhī nahīñ karte
ki zikr-e-ḳhair ho yā bad hamārā chaltā rahtā hai
kaleja hai to maidān-e-amal meñ aa kitābeñ likh
adab ke kaam meñ pyāre ḳhasāra chaltā rahtā hai
kabhī aao to dikhlā.eñ karishma tum ko dariyā kā
ki maujeñ munjamid haiñ aur kināra chaltā rahtā hai