tire dayār talak yuuñ to aa hī jaate haiñ
ye aur baat tasavvur meñ jī jalāte haiñ
mirī udaas nazar kā ḳhayāl hai varna
use to chāñd sitāre bahut bulāte haiñ
tamām umr bhaTakte rahe jo sahrā meñ
unheñ ye vahm ki vo rāsta dikhāte haiñ
sitam kī bhiik sahī dostoñ kā tohfa hai
baḌī ḳhushī se ye ehsān ham uThāte haiñ
hamārī nazroñ kī pākīzgī salāmat hai
isī kamāl pe duniyā ko ham jhukāte haiñ
ye karbalā hai to ab lauT kar kahāñ jaa.eñ
tamām rāste apne yahīñ pe aate haiñ
use jo mansab-o-jāh-o-jalāl pyārā hai
to ham bhī kāsa-e-tohmat kahāñ uThāte haiñ