ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā se istifāda kiyā
hunar samajh ke isī kaam ko ziyāda kiyā
ye tū ne kaun se mansab kī pāsdārī kī
banāyā miir mujhe ḳhud ko mīrzāda kiyā
kamāl ye ki jise rāsta milā hī nahīñ
vo kah rahā hai safar ham ne pā-piyāda kiyā
koī batāo ki maiñ ḳhud ko roktā kaise
jab us ne saath mire chalne kā irāda kiyā
bahut dinoñ pe tabī.at udhar huī maa.il
bahut dinoñ pe sabā ne bhī dil kushāda kiyā