kuchh aisā huā be-sar-o-sāmān mirī jaañ
duniyā mujhe kahne lagī nādān mirī jaañ
sho.aloñ ko mayassar kahāñ shabnam kī rifāqat
ḳhud ko na karo aise bhī halkān mirī jaañ
tanhā.ī meñ ab un kā bhī dam ghuTne lagā hai
hijrat ko samajhte the jo āsān mirī jaañ
ab terī ināyat ho ki duniyā kī navāzish
dil ho to gayā vaise ye vīrān mirī jaañ
nādān hai tū aur ye siyahkār zamāna
is daur ke insān ko pahchān mirī jaañ
dil chāhtā ye hai ki tujhe duur se dekhūñ
lekin jo taqāze kā hai tūfān mirī jaañ
dekhā thā faqīroñ kī qabā meñ use kal tak
sab log jise kahte haiñ sultān mirī jaañ