ḳhudā-parast hue na ham but-parast hue
kisī taraf na jhukā sar kuchh aise mast hue
jinheñ ġhurūr bahut thā namāz roze par
ga.e jo qabr meñ saare vuzū shikast hue
ġhurūr kar ke nigāhoñ se gir ga.e maġhrūr
buland jitne hue utne aur past hue
rahā ḳhumār ke sadme se chuur shīsha-e-dil
magar na sā.il-e-mai tere mai-parast hue
taḌap dikhā na use 'bahr' māhī-e-dil kī
ġhazab huā jo vo tār-e-nigāh shast hue