rañg-e-tasvīr-e-jahāñ ko tirā naqshā samjhā
zarre zarre ko maiñ ik husn-e-sarāpā samjhā
mahv-e-hairat jo tasavvur ne banāyā mujh ko
apnī tasvīr ko maiñ terā sarāpā samjhā
be-ḳhud-e-jalva kabhī aur kabhī hushiyār rahā
kabhī ma.abūd kabhī ḳhud ko maiñ banda samjhā
vā-e-ġhaflat ki sarāb-āsā na jaanā us ko
bhuul itnī huī duniyā ko maiñ duniyā samjhā
dīda-e-tar ne uThā.e vo shab-e-ġham tūfāñ
jo girā aañkh se qatra use dariyā samjhā