kiyā hai ishq ne āzād do-jahāñ se hameñ
na kuchh yahāñ se ġharaz hai na kuchh vahāñ se hameñ
ḳhudī ko bhuul ke mast-e-alast ho jaanā
milā hai faiz ye ḳhum-ḳhāna-e-muġhāñ se hameñ
azaañ haram meñ hai nāqūs hai kunisht meñ to
sadā.eñ aatī haiñ terī kahāñ kahāñ se hameñ
phir aaj uTThā hai vo parda-e-hijāb kahīñ
shuā.eñ sī nazar aatī haiñ kuchh yahāñ se hameñ
misāl-e-sham.a haiñ sab rāt-bhar ke ye jalve
sahar ko uThnā hai is mahfil-e-jahāñ se hameñ
miTā ke hasti-e-mauhūm tujh ko paayā hai
pata milā hai tirā ḳhāk-e-be-nishāñ se hameñ
chaman se uTh gayā 'raunaq' jab āshiyāñ apnā
na phir bahār se matlab na kuchh ḳhizāñ se hameñ