bāda-e-vahshat-asar se mast vīrāne meñ thā
ek aalam be-ḳhudī kā tere dīvāne meñ thā
jalva farmātā vo ka.abe meñ na but-ḳhāne meñ thā
DhūñDhtā thā jis ko maiñ vo dil ke kāshāne meñ thā
hasrateñ thiiñ raqs meñ sāz-e-tarab thī āh-e-dil
aish duniyā-bhar kā mere ek ġham-ḳhāne meñ thā
pūchhtā kyā hai haqīqat us kī mujh se mohtasib
kyā batā.ūñ maiñ tujhe kyā mere paimāne meñ thā
josh-e-vahshat meñ thī us kī justujū donoñ taraf
ik qadam merā thā ghar meñ ek vīrāne meñ thā
har ghaḌī thī jis ke jalve kī nigāhoñ ko talāsh
nuur us kā aañkh meñ vo dil ke kāshāne meñ thā
surḳh Dore aa ga.e piite hī saaqī aañkh meñ
ye mai-e-gul-rañg thī yā ḳhuun paimāne meñ thā
lā sakā ai sham.a dam-bhar bhī na tāb-e-soz-e-ishq
ḳhaak hone ke sivā kyā ḳhaak parvāne meñ thā
aur kyā ka.abe meñ miltā sañg-e-asvad ke sivā
DhūñDhtā thā jis ko tū zāhid vo but-ḳhāne meñ thā
naġhma-e-haq kī sadā har-dam kiye detī thī mast
kis maze kā ik tarannum dil ke paimāne meñ thā
merī rāhat kā zarīya thiiñ mirī āzādiyāñ
vo qadam thā aish-ḳhāne meñ jo vīrāne meñ thā
kauñd kar girtī thiiñ dil par har taraf se bijliyāñ
ik nayā andāz un ke teġh chamkāne meñ thā
chashm-e-haq-bīñ ke liye haiñ ek hī dair-o-haram
saaf ka.abe meñ nazar aayā jo but-ḳhāne meñ thā
ab vo rañg-e-bāda-e-ulfat ilāhī kyā huā
joshish-e-hubb-e-vatan jo dil ke paimāne meñ thā
kyā kahūñ kis shai ne 'raunaq' kar diyā mast-e-alast
thā vo ik rañg-e-mai-e-irfāñ jo paimāne meñ thā