Piyare Lal Raunaq Dehlwi

nisar-e-shama hone bazm mein parwana aa pahuncha

Piyare Lal Raunaq Dehlwi

nisār-e-sham.a hone bazm meñ parvāna aa pahuñchā
qarīb-e-manzil-e-dīvangī dīvāna aa pahuñchā
tarāne hamd ke gulshan meñ barg-e-gul se suntā huuñ
zabān-e-ġhuncha pe kyūñkar tirā afsāna aa pahuñchā
ise kahte haiñ mil kar ḳhaak meñ iksīr ho jaanā
huā sarsabz vo zer-e-zamīñ jo daana aa pahuñchā
safar is bazm se karne ko phir raj.at kī Thānī hai
gale phir aaj milne sham.a se parvāna aa pahuñchā
raqam hai dāstān-e-ishq-e-bulbul patte patte par
guloñ tak kis tarah gulshan meñ ye afsāna aa pahuñchā
khiñchī thī kyā tirī tasvīr tarkīb-e-anāsir se
ki musht-e-ḳhāk meñ andāz-e-māshūqāna aa pahuñchā
parastār-e-sanam ho kar jo DhūñDī raah ka.aba kī
qadam bahkā huā apnā sar-e-mai-ḳhāna aa pahuñchā
baneñge aaj phir sarmast sahbā-e-suḳhan 'raunaq'
qadam phir apnā qurb-e-mahfil-e-rindāna aa pahuñchā
Top Urdushayar.com