nafs-e-sarkash ko qatl kar ai dil
musta.id ho jihād par ai dil
na phalegī tijārat-e-duniyā
hai yahāñ naf.a meñ zarar ai dil
tere kirdār par haiñ shāhid-e-hāl
ḳhushk-lab aur chashm-e-tar ai dil
na ro ulfat na haath se jaa.e
khel jā apnī jaan par ai dil
chāhiye be-mahal na Tapke ashk
abrūoñ par rahe nazar ai dil
be-ḳhudī meñ nikal chalā hai kidhar
bhuul jaanā na apnā ghar ai dil
kū-e-jānāñ hai maqtal-e-ushshāq
le chalā hai mujhe kidhar ai dil
jaan jaanī hai tujh ko hosh nahīñ
tū bhī kitnā hai be-ḳhabar ai dil
ishq-bāzī hai ābrū-rezī
apne fe.aloñ se darguzar ai dil
kyuuñ nikal kar zalīl hotī hai
terī fariyād-e-be-asar ai dil
dhyān āThoñ-pahar usī kā hai
kabhī apnī bhī lī ḳhabar ai dil
ishq ke ma.arke meñ maar qadam
fat.h hai tere naam par ai dil
ashk ho kar bahā ki ḳhuun huā
kyā huī hālat-e-jigar ai dil
ġham-e-ālam hai tere hisse meñ
tū bhī kyā hai nasīb-var ai dil
tū agar aag hai vo paanī hai
'bahr' ke shar se ḳhauf kar ai dil