nā-munāsib hai ḳhafā nāloñ ko sun kar honā
abhī aayā hī nahīñ tum ko sitamgar honā
hai sitam kā ye karam aah nahīñ karte ham
varna āsān na thā sabr kā ḳhūgar honā
nahīñ rahtī koī rok ahl-e-junūñ ke aage
koī dīvār ho shaq ho ke use dar honā
ro paḌā maiñ bhī pasījā jo vo but nāloñ par
qābil-e-rahm hai insān kā patthar honā
aa ke samjhā.e vo taskīn kā pahlū ham ko
maan leñge dil-e-betāb kā patthar honā
gor meñ dafn kiyā jab na ruke zindāñ meñ
kis tarah dekhte dīvānoñ kā be-ghar honā
qissa-e-tūr-o-kalīm aap sunāte haiñ fuzūl
nahīñ mumkin jo tajallī kā mukarrar honā
chhoḌ kar dā.ira-e-haq ko na jaa.e 'rāġhib'
kufr hai silsila-e-shaiḳh se bāhar honā