azal kī yaad meñ maiñ garm-e-āh-e-sard huā
lagī thī choT kabhī aur aaj dard huā
guzar gayā ye nigāhoñ se terā markab-e-husn
tamām ālam-e-dil ik qadam meñ gard huā
ġhalat ki qābil-e-dār-o-rasan hoñ ahl-e-havas
bañdhā.ī ishq ne himmat jise vo mard huā
pare vo aql se haiñ is yaqīñ ne rok liyā
kabhī jo vahm ke pīchhe meñ rah-navard huā
tamām tajraba-e-garm-o-sard-e-ishq kahāñ
kuchh ashk-e-garm huā dil kuchh āh-e-sard huā
naqāb un kī uThī thī ki ham hue behosh
nigāh un se laḌī thī ki dil meñ dard huā
karam se apne miTā do ki be-qarār hai ishq
mirā vajūd ki duniyā ke dil kā dard huā
shuhūd-e-be-jihat-o-kaif munsalik 'rāġhib'
junūñ use jo kisī samt rah-navard huā