vaah kyā aalam ajab hai intizār-e-yār kā
naam hai dīdār-e-hasrat hasrat-e-dīdār kā
sair hai jannat kī sairoñ se tire āshiq kā dil
le ke jannat kyā kare bhūkā tire dīdār kā
zarra-e-dil meñ utar aa.e hazāroñ āftāb
kyā karishma hai ḳhyāl-e-jalva-gāh-e-yār kā
baḌh chalā thā terī ġhaflat se bhī bār-e-bekasī
maut ne pūchhā mizāj aa kar tire bīmār kā
jānte haiñ ik jhalak meñ jān-o-dil miT jā.eñge
log muñh takte haiñ tere tālib-e-dīdār kā
dhyān meñ us ke do-ālam se khiñchā baiThā huuñ maiñ
ya.anī ik naqsha khiñchā hai jazb-e-husn-e-yār kā
jis ko kahte haiñ muqaddar āshiqān-e-bad-nasīb
hai vo ik bigḌā huā ḳhāka mizāj-e-yār kā