nahīñ hai amn kā duniyā meñ ab maqām koī
ḳhudā ḳhudā kahe koī ki raam raam koī
mire banā.e to bantā nahīñ hai kaam koī
vo kārsāz kare us kā intizām koī
na hogā bazm kā bātoñ se intizām koī
ḳhud apnī baat pe tujh ko nahīñ qayām koī
tumhāre ho ke jo ham zillateñ uThāte haiñ
zalīl hogā kisī kā na yuuñ ġhulām koī
uThāo teġh sazā do raqīb-e-mufsid ko
nasīhatoñ se huā hai kab intizām koī
chhurī se rahm kare pahle kis par ab sayyād
koī qafas meñ taḌaptā hai zer-e-dām koī
ye mujh se aañkh milātā nahīñ hai kyuuñ saaqī
mire nasīb kā shāyad nahīñ hai jaam koī
jo naam lete haiñ terā vo qatl hote haiñ
nahīñ maregā jo legā na terā naam koī
kuchh aur kījiye tadbīr kaam kī 'rāġhib'
ki haa.e haa.e se bantā nahīñ hai kaam koī