be-ḳhudī hai hasratoñ kī bhiiḌ chhaT jaane ke ba.ad
aap hī gum ho ga.e ham rāsta paane ke ba.ad
maiñ huuñ vo sho.ala bhaḌaktā hai jo bujh jaane ke ba.ad
maiñ huuñ aisā phuul khiltā hai jo murjhāne ke ba.ad
mil ga.e ham ḳhaak meñ parde ke uTh jaane ke ba.ad
kuchh nazar aane se pahle kuchh nazar aane ke ba.ad
kis tarah jalve ko dekhā dekh kar kyā ho gayā
dekhne vāloñ ko dekho jalva dikhlāne ke ba.ad
maut hai jis kī sazā ye zindagī hai vo gunāh
in balāoñ se milegā amn mar jaane ke ba.ad
yuuñ to parde hī meñ rahtī hai tumheñ sab kī ḳhabar
kaash dekho parde se bāhar nikal aane ke ba.ad
dekh kar māyūs dil ko dekhtā huuñ sū-e-arsh
lā-makāñ hī sūjhtā hai aise vīrāne ke ba.ad
chhoḌ kar tauf-e-haram hai kyā pashemānī mujhe
gardish-e-qismat meñ apne aap aa jaane ke ba.ad
un ke rauze se mujhe kyuuñ le chalī hai sū-e-ḳhuld
ai ajal kyuuñ kar jiyūñgā us ke chhuT jaane ke ba.ad
kyā ho idrāk-e-tajallī se vo be-ḳhud kāmyāb
jaan se jaanā hoñ jis ko hosh meñ aane ke ba.ad
haa.e ye apnī javānī aur ye baḳht-e-siyāh
ye añdherī koTharī phir raat ho jaane ke ba.ad
tū ne ai saaqī kiyā andāza-e-mastī ġhalat
yuuñ hī detā jā mujhe paimāna paimāne ke ba.ad
marg par āmāda terī sard-mehrī ne kiyā
niiñd mujh ko aa ga.ī ThanDī havā khāne ke ba.ad
jazb-e-ulfat hī se paidā hotī hai shakl-e-kashish
varna kyuuñ jazb-e-nazar ho kuchh nazar aane ke ba.ad
apne jalve ke karishme ye mirā zauq-e-nigāh
tum zarā dekho mirī āñkhoñ meñ phir jaane ke ba.ad
vo atā-e-avval-e-sāqī bhī 'rāġhib' ḳhuub thī
ham ne lākhoñ ḳhum chaḌhā.e ek paimāne ke ba.ad