Imdad Ali Bahr

umur-e-KHair mein kuchh ehtimam ho na saka

Imdad Ali Bahr

1810-1878
umūr-e-ḳhair meñ kuchh ehtimām ho na sakā
maal nek ho jis kā vo kaam ho na sakā
baġhair manzil-e-avval qayām ho na sakā
jab aayā coach kā din phir maqām ho na sakā
har ek murtakib ma.asiyat yahāñ se gayā
kisī bashar se farishte kā kaam ho na sakā
qadam kisī kī na Thahrī jab āb-o-dāna uThā
guhar se batn-e-sadaf meñ qayām ho na sakā
sharāb-e-āb-e-ḳhajālat nigāh meñ Thahre
ki chashm-e-yār se ham-chashm jaam ho na sakā
nazākat us ke qadam chūmtī hai dekhā hai
kaḌī pahan liye jis din ḳhirām ho na sakā
mile na un se mile ham judā hue jab se
phaTā dil aisā ki phir iltiyām ho na sakā
har ek rañj ko rāhat samajh lī shukr kiyā
kare shikāyat-e-āqā ġhulām ho na sakā
kisī ke mulk-e-itā.at meñ aamlī na chale
fasād-e-nafs rahā intizām ho na sakā
huā hai ātish-e-gul meñ lagī ye talvoñ se
uḌe sharar kī tarah ham qayām ho na sakā
ga.e jo shikve ko apnā sā muñh vo le ke phire
milī zabān na muñh meñ kalām ho na sakā
sharāb tark kī ham ne raqīb ke hāthoñ
lahū ke ghūñT piyeñ ham mudām ho na sakā
kabhī vafā.ī na hilne diyā lab-e-fariyād
butoñ se hashr meñ bhī intiqām ho na sakā
hazār ne.mat-e-duniyā ne ham ko lalchāyā
halāl luqma hamārā harām ho na sakā
nasīb ho na taraqqī to baaḌh hai be-kār
hilāl teġh kā māh-e-tamām ho na sakā
hai yādgār zamāne meñ apnī tanhā.ī
faqīr kā koī qaa.im maqām ho na sakā
hazār mauj-sifat 'bahr' dast-o-pā maare
habāb saañ magar apnā qayām ho na sakā
Top Urdushayar.com