hai shahr-e-ulfat meñ qadġhanoñ se ajiib ḳhauf-o-hirās rahnā
ḳhizāñ ke aane pe yaas chhā.e bahār ho to pur-ās rahnā
kabhī kabhī koī bhejtā hai nazar meñ chāhat kī phuul kaliyāñ
mohabbatoñ kā nasīb Thahrā kabhī kabhī kā udaas rahnā
agar ye chāho ki ziist guzre hañsī ḳhushī kī phuvār meñ hī
bahut zarūrī hai ai 'zafar' ye tirā bhī mausam-shanās rahnā