Akhtar lakhnvi

shahr ka shahr salibon se saja hai ab ke

Akhtar lakhnvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1934-1995
shahr kā shahr salīboñ se sajā hai ab ke
un kī aamad kā har andāz nayā hai ab ke
qāfila qāfila maqtal kī taraf jā.eñge log
shoḳh pahle se bahut rañg-e-hinā hai ab ke
ye to sach hai vo isī raah se guzreñge magar
koī dekhe na inheñ hukm huā hai ab ke
aao jī bhar ke gale mil leñ rafīqo ham aaj
qatl kī shakl meñ in.ām-e-vafā hai ab ke
mausam-e-gul tire sadqe tirī aamad ke nisār
dekh mujh se mirā saaya bhī judā hai ab ke
ek qatra nahīñ detī hai guzar jaatī hai
jo bhī uThtī hai ghaTā aisī ghaTā hai ab ke
dosto zikr-e-ruḳh-e-yār se ġhāfil na raho
dasht-e-zulmāt meñ mahtāb luTā hai ab ke
Top Urdushayar.com