hoshyār kar rahā hai gajar jāgte raho
ai sāhibān-e-fikr-o-nazar jāgte raho
dasht-e-shab-e-siyāh meñ sunte haiñ shab-parast
rokeñge kārvān-e-sahar jāgte raho
zulmat kahīñ na kar de ujāle ko dāġh-dār
le kar charāġh-e-dīda-e-tar jāgte raho
so.e nahīñ ki Duub ga.ī nabz-e-kā.enāt
bojhal ho laakh aañkh magar jāgte raho
ḳhvābīda apne chāhne vāloñ ko dekh kar
mumkin hai lauT jaa.e sahar jāgte raho