Akhtar lakhnvi

ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai

Akhtar lakhnvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1934-1995
ab dard kā sūraj kabhī Dhaltā hī nahīñ hai
ab dil koī pahlū ho sambhaltā hī nahīñ hai
bechain kiye rahtī hai jis kī talab-e-dīd
ab baam pe vo chāñd nikaltā hī nahīñ hai
ik umr se duniyā kā hai bas ek hī aalam
ye kyā ki falak rañg badaltā hī nahīñ hai
nākām rahā un kī nigāhoñ kā fusūñ bhī
is vaqt to jaadū koī chaltā hī nahīñ hai
jazbe kī kaḌī dhuup ho to kyā nahīñ mumkin
ye kis ne kahā sañg pighaltā hī nahīñ hai
Top Urdushayar.com