Akhtar lakhnvi

dil mein Tisen jag uThti hain pahlu badalte waqt bahut

Akhtar lakhnvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1934-1995
dil meñ Tīseñ jaag uThtī haiñ pahlū badalte vaqt bahut
apnā zamāna yaad aatā hai sūraj Dhalte vaqt bahut
vo parcham vo sar ke turre aur vo safīne apne the
jin ko dekh ke sho.ale bhī ro.e the jalte vaqt bahut
un shīshoñ ke rezoñ kā marham hai apne zaḳhmoñ par
lamha lamha jo TuuTe talvāreñ chalte vaqt bahut
pal bhar meñ paanī hote dekhe haiñ sanam kirdāroñ ke
ham kaise kah deñ lagtā hai sañg pighalte vaqt bahut
suune kitne baam hue kitne āñgan be-nūr hue
chāñd se chehre yaad aate haiñ chāñd nikalte vaqt bahut
ab har ghar kī chaukhaT ham par hañstī hai to raaz khulā
phuuT phuuT kar roī thiiñ kyuuñ dahlīzeñ chalte vaqt bahut
do nasloñ kī kashtī thī vo pichhle dinoñ jo Duub ga.ī
bhīge jismoñ vaalo lagegā tum ko sambhalte vaqt bahut
Top Urdushayar.com