dil ke har zaḳhm ko palkoñ pe sajāyā to gayā
aap ke naam pe ik jashn manāyā to gayā
mai-e-kohna na sahī ḳhūn-e-tamannā hī sahī
ek paimāna mire sāmne laayā to gayā
ḳhair apnā nahīñ bāġhī hī samajh kar ham ko
terī mahfil meñ kisī taur bulāyā to gayā
ab ye baat aur ki zindāñ meñ bhī zanjīreñ haiñ
ham ko gulshan kī balāoñ se bachāyā to gayā
daar pe chaḌh ke bhī ḳhush haiñ ki hameñ is dil meñ
is bahāne hī sahī apnā banāyā to gayā
ab ye qismat hī na jaage to kare kyā koī
roz-o-shab ik nayā tūfān uThāyā to gayā
kyā hai manzil se agar ho ga.e ham duur 'aḳhtar'
rahbaroñ ke hameñ halqe se nikālā to gayā