Imdad Ali Bahr

dukhati hai dil phir mohabbat kisi ki

Imdad Ali Bahr

1810-1878
dukhātī hai dil phir mohabbat kisī kī
ki āñkhoñ meñ phirtī hai sūrat kisī kī
na pūchho ye haiñ sikka-e-dāġh kis ke
ye daulat milī hai badaulat kisī kī
pur-armān ahbāb duniyā se uTThe
falak ne nikālī na hasrat kisī kī
ye aalam hai apnā ki kahtā hai aalam
ilāhī na ho aisī hālat kisī kī
ajab be-muravvat se paalā paḌā hai
kahāñ tak kare koī minnat kisī kī
uḌā le ga.ī sarv se qumriyoñ ko
qayāmat hai buuTā sī qāmat kis kī
maiñ is dil kā sāthī nahīñ āshiqī meñ
balā merī le sar par aafat kisī kī
nazar meñ haiñ yārān-e-rafta ke jalse
ḳhush aatī nahīñ mujh ko sohbat kisī kī
vo kyā din the ai dil tujhe yaad hai kuchh
vo merī ḳhushāmad vo naḳhvat kisī kī
bahut bad hai ai ishq sarkār tere
na izzat kisī kī na hurmat kisī kī
shikanje meñ rahtā hai dil aadmī kā
ḳhudā band rakkhe na hājat kisī kī
kahe mujh ko jo jis kā jī chāhe lekin
kabhī mujh se hogī na ġhībat kisī kī
abas 'bahr' marte ho tum har kisī par
mubārak nahīñ tum ko chāhat kisī kī
Top Urdushayar.com