dekho us ne qadam qadam par saath diyā begāne kā
'aḳhtar' jis ne ahd kiyā thā tum se saath nibhāne kā
aaj hamāre qadmoñ meñ hai kāhkashāñ shahr-e-mahtāb
kal tak log kahā karte the ḳhvāb use dīvāne kā
tere lab-o-ruḳhsār ke qisse tere qad-o-gesū kī baat
sāmāñ ham bhī rakhte haiñ tanhā.ī meñ dil bahlāne kā
tum bhī sunte to ro dete ham bhī kahte to rote
jaan ke ham ne chhoḌ diyā hai ik hissa afsāne kā
kuchh to hai jo apnāyā hai ham ne kū-e-malāmat ko
vaise aur tarīqa bhī thā 'aḳhtar' dil bahlāne kā