kis se huuñ dād-ḳhvāh koī dādras nahīñ
vo kushtanī huuñ maiñ ki kisī ko taras nahīñ
zāhid kisī visāl-e-sanam kī havas nahīñ
patthar kā but hai tū ki tujhe hiss-o-mas nahīñ
vo nā-tavāñ huuñ ki mire dil ko hai yaqīñ
āñdhī kī jhoñke chalte haiñ bād-e-nafas nahīñ
jab tak ki tum na aaoge ragḌūñgā eḌiyāñ
maiñ bhī huuñ saḳht-jān jo tum ko taras nahīñ
zabt-e-fuġhāñ se uzv-e-badan ghul chale tamām
maiñ kārvān-e-reg-e-ravāñ huuñ jaras nahīñ
duniyā kī ne.amatoñ se ye serī hai ruuh ko
bosa bhī yaar de to kahūñ maiñ havas nahīñ
kuchh to hamārī rone meñ taḳhfīf ho ga.ī
bārish jo agle saal thī ab kī baras nahīñ
parvānā-o-charāġh par aatā hai mujh ko rashk
kis tarah tum se uḌ ke lipaT jā.ūñ bas nahīñ
ai shahsavār us kā chamaknā dalīl hai
āhū-e-ḳhāvarī hai ye terā faras nahīñ
ham mai-kashoñ kī bazm meñ hai be-takallufī
kuchh dānā-hā-e-sub.ha-sifat pesh-o-pas nahīñ
betābiyāñ yahī haiñ to ik din najāt hai
sayyād yā to maiñ hī nahīñ yā qafas nahīñ
apne liye hai marg guloñ kī mafāriqat
hai gumbad-e-mazār hamārā qafas nahīñ
ai 'bahr' is maqām par aTkā hai jā ke dil
pā-e-ḳhayāl kī bhī jahāñ dastaras nahīñ