jādū-e-ḳhvāb meñ kuchh aise giraftār hue
bārish-e-sañg huī bhī to na bedār hue
jab the ḳhush-hāl bhale lagte the rishte ġham ke
ab vahī rishte mirī jaan kā āzār hue
jab talak paañv meñ vahshat thī junūñ meñ tāqat
na kisī saa.e meñ baiThe na kabhī ḳhaar hue
maiñ ne jab gulf meñ kuchh daulat-o-izzat paa.ī
ālam-e-fan bhī mire haq meñ razākār hue
jab khule naqd ke ausāf ba-faiz-e-naqdī
kuchh risāloñ ke editor bhī taraf-dār hue
vasl se jin ke hai maġhrib meñ qayāmat sī bapā
un hī louñDoñ ke liye 'mīr'-jī bīmār hue
goliyāñ chalne ko tayyār thiiñ pahle se 'na.īm'
ham to bas jhanDā uThāne ke gunahgār hue