yahī to ġham hai vo shā.ir na vo siyānā thā
jahāñ pe uñgliyāñ kaTtī thiiñ sar kaTānā thā
mujhe bhī abr kisī koh par gañvā detā
maiñ bach gayā ki samundar kā maiñ ḳhazāna thā
tamām log jo vahshī bane the aaqil the
vo ek shaḳhs jo ḳhāmosh thā divāna thā
patā chalā ye havāoñ ko sar paTakne par
maiñ reg-e-dasht na thā sañg-e-sad-zamāna thā
tamām sabza-o-gul the mulāzim-e-mausam
kalī kā farz hī gulshan meñ muskurānā thā
mire liye na ye mastī na āgahī hai harām
mujhī ko bazm se uThnā thā sar uThānā thā
vo mere haal se mujh ko parakh rahe the 'hasan'
mirī nigāh meñ guzrā huā zamāna thā