dil vo kisht-e-ārzū thā jis kī paimā.ish na kī
sair-e-duniyā ke sivā ham ne koī ḳhvāhish na kī
motiyoñ se chashm-o-jāñ ko ā.ina-ḳhāna kiyā
siip ke TukḌoñ se bām-o-dar kī ārā.ish na kī
kis ko fursat thī ki suntā us safar kā mājrā
jab usī manzil-nashīñ ke hoñT ne jumbish na kī
us ne jo bhī ruup dhārā us ne jo bhī dukh diyā
aadmī banñe kī ham ne us se farmā.ish na kī
kuchh qalam-bandī se mujh ko aar thā varna 'na.īm'
kab mire abr-e-nigah ne fikr kī bārish na kī