Imdad Ali Bahr

jaDaw chuDiyon ke hathon mein phaban kya KHub

Imdad Ali Bahr

1810-1878
jaḌāv chūḌiyoñ ke hāthoñ meñ phaban kyā ḳhuub
bhare bhare tire baazū pe nau-ratan kyā ḳhuub
khajūrī choTī ke qurbān vaah kyā kahnā
nisār pariyoñ ke mū-ba-mū shikan kyā ḳhuub
na.ī javānī kā josh aur ubhār siine kā
do-shāla Dhalkā huā sar se bāñkpan kyā ḳhuub
ajab bahār hai beloñ kī aur būToñ kī
parī dupaTTā tirā ġhairat-e-chaman kyā ḳhuub
izār-band ke lachchhe kā vaah re aalam
gudāz rānoñ pe pājāme kī shikan kyā ḳhuub
jo pahnā achchhā burā tū ne utrā ban ban kar
har ek chiiz meñ jaanī sajīlā-pan kyā ḳhuub
gulāb se tire gaal aur āñkheñ nargis se
ba-rañg-e-ġhuncha-lāla lab-o-dahan kyā ḳhuub
nazar phisalte hī vallāh merī āñkhoñ meñ ḳhaak
ki saaf saaf hai ā.īne sā badan kyā ḳhuub
ḳhudā ne nuur ke sāñche meñ tujh ko Dhālā hai
jo dekhtā hai vo kahtā hai ye suḳhan kyā ḳhuub
bayān husn kare terā 'bahr' kis muñh se
tirā banāv tire chhab tirī phaban kyā ḳhuub
Top Urdushayar.com