diloñ meñ aag lagāo navā-kashī hī karo
nahīñ hai shaġhl-e-junūñ kuchh to shā.irī hī karo
ye kyā ki baiTh rahe jā ke ḳhalvat-e-ġham meñ
nahīñ hai kuchh to chalo chal ke mai-kashī hī karo
yahī hunar kā sila hai to nāqidān-e-suḳhan
kisī usuul ke parde meñ dushmanī hī karo
sadā-e-dil na suno arz-e-hāl to sun lo
kahāñ ye farz hai tum par ki munsifī hī karo
yahī 'na.īm' bahut hai jo kaaT lo ye raat
ye kuchh zarūr nahīñ hai ki raushnī hī karo