Hasan Naim

usi KHush-nawa mein hain sab hunar mujhe pahle tha na qayas bhi

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
usī ḳhush-navā meñ haiñ sab hunar mujhe pahle thā na qayās bhī
usī ḳhush-navā pe sajā hai kyā mirī shā.irī kā libās bhī
vo ġhazal kā ruup liye hue mujhe har maqām pe le gayā
kabhī dasht-e-yār ke darmiyāñ kabhī shahr-e-fikr ke paas bhī
jise itnā auj-e-nazar milā use kyuuñ na dard-e-zamīñ mile
kisī falsafe kā nuzūl hai tire lab pe kalma-e-yās bhī
koī jaise nok-e-sināñ liye shab-o-roz sar pe khaḌā rahā
hai aziyyatoñ ke shumār meñ ye aziyyatoñ kā hirās bhī
ruḳh-e-dāġh-e-dil ke sivā 'hasan' maiñ navā-e-be-dil-o-shād huuñ
inhī āshiqoñ kā hai rañg bhī unhī kāmiloñ kā hai baas bhī
Top Urdushayar.com