Hasan Naim

mujhko koi bhi sila milne mein dushwari na thi

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
mujh ko koī bhī sila milne meñ dushvārī na thī
sab hunar aate the lekin aql se yaarī na thī
jin dinoñ iḳhlās meñ thoḌī sī ayyārī na thī
husn ke darbār meñ sābit vafādārī na thī
sar-kashī ke ahd-nāmoñ kī hifāzat ke liye
mere qalb-o-jāñ se behtar koī almārī na thī
jin usūloñ ke liye jiinā bahut mushkil huā
un kī ḳhātir jaan de dene meñ dushvārī na thī
husn hī kā vo ilāqa thā jahāñ sab kuchh milā
ishq kī apnī alag koī zamīñ-dārī na thī
sab pareshāñ haiñ ki āḳhir kis vabā meñ vo mire
jin ko ġhurbat ke alāva koī bīmārī na thī
kis tarah bād-e-fanā se maiñ bachā letā use
us ġhazal paikar meñ koī fan kī chiñgārī na thī
roz ik muuzī ko neze par uThātā thā 'na.īm'
inqilābī quvvatoñ kī jab samajhdārī na thī
Top Urdushayar.com