raat guzrī ki shab-e-vasl kā paiġhām milā
so ga.e ḳhvāb kī bāñhoñ meñ jo ārām milā
DhūñDte rahiye shab-o-roz umīdoñ ke qadam
kūcha-e-zīst meñ le de ke yahī kaam milā
ḳhūbi-e-baḳht ki jab bhuul chukā thā sab kuchh
bevafā.ī kā lab-e-ġhair se ilzām milā
pā-piyāda thā magar raah meñ vo dhuum machī
jhuk ke tāzīm se shahzāda-e-ayyām milā
ham ne bechī nahīñ jis roz matā-e-ġhairat
ik piyāla bhī na mai kā hameñ us shaam milā
muḳhtasar ye hai ki jab vaqt-e-vidā-e-gul thā
ḳhvāb meñ aa ke gale mujh se vo gulfām milā
ham junūñ hai ki nahīñ raah meñ pūchheñge 'na.īm'
dasht-e-ġhurbat meñ ye kyā kam hai ki hamnām milā