jañgaloñ kī ye muhim hai raḳht-e-jāñ koī nahīñ
sañg-rezoñ kī girah meñ kahkashāñ koī nahīñ
kyā ḳhabar hai kis kināre is safar kī shaam ho
kashti-e-umr-e-ravāñ meñ bādbāñ koī nahīñ
āshiqoñ ne sirf apne dukh ko samjhā mo'tabar
mehr sab kī aarzū hai mehrbāñ koī nahīñ
ek dariyā paar kar ke aa gayā huuñ us ke paas
ek sahrā ke sivā ab darmiyāñ koī nahīñ
hasratoñ kī aabrū tahzīb-e-ġham se bach ga.ī
is nafāsat se jalā hai dil dhuāñ koī nahīñ
kaT chuke haiñ apne maazī se suḳhan ke pesha-var
marsiya-go so chuke aur qissa-ḳhvāñ koī nahīñ
pūchhtā hai aaj un kā be-takalluf sā libās
is galī meñ kyā jiyālā naujavāñ koī nahīñ
vo rahe qaid-e-zamāñ meñ jo makīn-e-ām ho
lamha lamha jiine vāloñ kā makāñ koī nahīñ
majlisoñ kī ḳhaak chhānī to khulā mujh par 'na.īm'
aazmī sā ḳhush-nigāh o ḳhush-bayāñ koī nahīñ