ḳhvāb Thahrā sar-e-manzil na tah-e-bām kabhī
is musāfir ne uThāyā nahīñ ārām kabhī
shab-ba-ḳhair us ne kahā thā ki sitāre larze
ham na bhūleñge judā.ī kā vo hañgām kabhī
sar-kashī apnī huī kam na umīdeñ TūTīñ
mujh se kuchh ḳhush na gayā mausam-e-ālām kabhī
ham se āvāroñ kī sohbat meñ hai vo lutf ki bas
do-ghaḌī mil to sahī gardish-e-ayyām kabhī
ai sabā maiñ bhī thā āshufta-saroñ meñ yaktā
pūchhnā dillī kī galiyoñ se mirā naam kabhī