vo bhī kahtā thā ki us ġham kā mudāvā hī nahīñ
dil jalāne ke alāva koī chāra hī nahīñ
zor-e-vahshat bhī agar kam ho to chalnā hai mudām
sar chhapāne ke liye dasht meñ saaya hī nahīñ
jal ke ham raakh hue haiñ ki bane haiñ kundan
jauharī ban ke kisī shaḳhs ne parkhā hī nahīñ
gard-e-shohrat ko bhī dāman se lipaTne na diyā
koī ehsān zamāne kā uThāyā hī nahīñ
merī āñkhoñ meñ vahī shauq-e-tamāshā thā 'na.īm'
us ne jhuk kar mirī tasvīr ko dekhā hī nahīñ