vahshat-e-jāñ ko payām-e-nigah-e-nāz to do
is fasāne ko zarā garmī-e-āġhāz to do
mere qadmoñ ke nishāñ raah se kuchh duur sahī
tum se maiñ duur nahīñ huuñ mujhe āvāz to do
dil meñ tūfān nahīñ ho to kare kyā naġhma
maiñ sunātā huuñ yahī raag mujhe saaz to do
koī buniyād nahīñ qaid-e-ta.alluq kī abhī
jazba-e-ġham ko zarā fikr kā andāz to do
us ne siine se lagāyā jo kahā maiñ ne 'hasan'
dil meñ rakhne ke liye apnā koī raaz to do