vo jo dard thā tire ishq kā vahī harf harf-e-suḳhan meñ hai
vahī qatra qatra lahū banā vahī reza reza badan meñ hai
vo nasīm jaane kahāñ ga.ī vo gulāb jaane kidhar khile
koī aag pichhlī bahār kī mire qalb meñ na chaman meñ hai
yahī vaqt sail-e-ravāñ liye mirī kashtiyoñ ko Dubo gayā
koī lahar āb-e-hayāt kī abhī gañg meñ na jaman meñ hai
dam-e-sub.h aaj hai dopahar na vo chahchahe na vo zamzame
vo parinde uḌ ke kahāñ ga.e koī shor gaañv na ban meñ hai
jo sitārā qibla-e-rāh thā vo sharār ban ke bujhā 'na.īm'
ye zamīn chādar-e-ḳhāk hai mirā chāñd jab se gahan meñ hai