Hasan Naim

jo gham ke shoalon se bujh gae the hum un ke daghon ka haar lae

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
jo ġham ke sho.aloñ se bujh ga.e the ham un ke dāġhoñ kā haar laa.e
kisī ke ghar se diyā uThāyā kisī ke dāman kā taar laa.e
ye kohsāroñ kī tarbiyat hai ki apnā ḳhema jamā huā hai
hazār tūfāñ sināñ chalā.e hazār fauj-e-ġhubār laa.e
kise batā.eñ ki ġham ke sahrā ko ḳhuld-dānish banāyā kaise
kahāñ se āb-e-ravāñ ko moḌā kahāñ se bād-e-bahār laa.e
har ek rāh-e-junūñ se guzre har ek manzil se kuchh uThāyā
kahīñ se dāman meñ ġham sameTā kahīñ se jholī meñ pyaar laa.e
ḳhalā ke māthe pe ek biñdī na jaane kab se chamak rahī thī
use bhī farq-e-zamīñ kī ḳhātir havā meñ uḌ kar utaar laa.e
jo apnī duniyā basā chukā hai use bhī mushkil kā sāmnā hai
kahāñ se shams-o-qamar ugaa.e kahāñ se lail-o-nahār laa.e
vahī shabāhat vahī adā.eñ magar vo lagtā hai ġhair jaisā
'na.īm' yādoñ kī anjuman meñ na jaane kis ko pukār laa.e
Top Urdushayar.com