Hasan Naim

aarzu thi ki tera dahr bhi shohra howe

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
aarzū thī ki tirā dahr bhī shohrā hove
terī nisbat se ġhazal ham-sar-e-zohrā hove
kaun detā hai mujhe ḳhvāb kī mash.al har aan
aas ban kar na vahī qalb meñ Thahrā hove
ye na mehmān-sarā hai na havas kā kūcha
dil meñ vo shaḳhs base aa ke jo gahrā hove
mauja-e-vaqt meñ rū-posh hai vo māh-e-tamām
chāñdnī hove jahāñ yaad kā bajrā hove
dhuñd hī dhuñd nazar aayā jidhar bhī dekhā
merī duniyā mire armāñ kā na chehrā hove
dil ke āñgan meñ koī aa ke na jaa.e vāpas
is ilāqa meñ agar ishq kā pahrā hove
us kī tasvīr meñ yuuñ rañg-e-alāmat rakhiyo
vo kahīñ nuur kahīñ phuul kā gajrā hove
itnī tāsīr to fariyād kī qismat ho 'na.īm'
hākim-e-vaqt badal jaa.e jo bahrā hove
Top Urdushayar.com