Hasan Naim

dil mein ho aas to har kaam sambhal sakta hai

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
dil meñ ho aas to har kaam sambhal saktā hai
har añdhere meñ diyā ḳhvāb kā jal saktā hai
ishq vo aag jo barsoñ meñ sulagtī hai kabhī
dil vo patthar jo kisī aan pighal saktā hai
har nirāshā hai liye haath meñ aashā bandhan
kaun janjāl se duniyā ke nikal saktā hai
jis ne sājan ke liye apne nagar ko chhoḌā
sar uThā kar vo kisī shahr meñ chal saktā hai
merā mahbūb hai vo shaḳhs jo chāhe to 'na.īm'
sūkhī Daalī ko bhī gulshan meñ badal saktā hai
Top Urdushayar.com