jab ki sar par vabāl aatā hai
pech meñ baal baal aatā hai
kab payām-e-visāl aatā hai
ḳhvāb hai jo ḳhayāl aatā hai
teġh-e-irfāñ se ruuh bismil hai
haal par apne haal aatā hai
shal hai har chand panja-e-mizgāñ
par kalejā nikāl aatā hai
kyā ajab ishq ho jo piirī meñ
duudh meñ bhī ubaal aatā hai
ḳhuub chaltī hai naav kāġhaz kī
ghar meñ qaazī ke maal aatā hai
Dher hai dil meñ ab kudūrat kā
miTTī lene kalāl aatā hai
chal nikaltī hai kashtī-e-a.amāl
araq-e-infi.āl aatā hai
hijr ke din yuuñ hī guzarte haiñ
maah jaate haiñ saal aatā hai
tere āñkhoñ ke sāmne sayyād
zab.h hone ġhazāl aatā hai
jis ne us kī galī meñ phal paayā
khā ke patthar nihāl aatā hai
sar kaTā kar shahīd hote haiñ
umr kho kar kamāl aatā hai
na milegā sivā muqaddar se
jehl hai jā malāl aatā hai
bahr-e-zar gul hai palla-e-mīzāñ
til ke kāñTe pe maal aatā hai
'bahr' kī sun ke ārifāna ġhazal
shāh-e-dariyā ko haal aatā hai