maiñ janam janam kā aniis huuñ kisī taur dil meñ basā mujhe
koī rañj hai to gamīñ na ho koī daaġh hai to dikhā mujhe
ye tamām sabza-e-āb-jū ye tamām ḳhema-e-rañg-o-bū
tire jis ḳhayāl kā aks haiñ vo ḳhayāl kar de atā mujhe
jinheñ harf-e-jāñ kī ḳhabar nahīñ vo paḌhāne aa.e kitāb-e-jāñ
jinheñ koī ilm-e-vafā na thā vo sikhāne aa.e vafā mujhe
maiñ niyāz-mand-e-junūñ sahī mujhe aql se bhī hai vāsta
kisī ḳhvāb kī na jhalak dikhā tire paas kyā hai dikhā mujhe
tirī guftugū se gumāñ huā koī baat merī bhalī lagī
maiñ 'na.īm' huuñ ki 'hasan' huuñ ab yahī baat pahle batā mujhe