Hasan Naim

main kis waraq ko chhupaun dikhaun kaun sa bab

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991

maiñ kis varaq ko chhupā.ūñ dikhā.ūñ kaun baab

kisī habīb ne māñgī hai zindagī kitāb

hameñ na bhūlnā ālām-e-sad-zamāñ ki yahāñ

hamīñ haiñ maskan-e-hirmāñ hamīñ haiñ bait-e-azāb

inhī se shab meñ ujālā inhī se nūr-e-ḳhayāl

mire liye to bahut kuchh haiñ dīda-e-be-ḳhvāb

gayā thā dasht se uTh kar samundaroñ taraf

vahāñ bhī tishna-nasībī vahāñ bhī marg-e-sarāb

pakaḌ ke dāman-e-dil jhukā ke sar apnā

diyā hai ḳhvāb-e-shikasta har kisī ko hisāb

mire kalām tafsīr ke liye paḌhiye

jamāl-e-fikr aayat navā-e-jāñ kitāb

vo āñkheñ pyaar ke lahje meñ kah rahī thiiñ 'hasan'

hamīñ se maañg piyāla hamīñ se maañg sharāb

havā bahār ke mausam meñ yuuñ chalī ki 'na.īm'

na surḳh-rū thā gulistāñ na surḳh-rū the gulāb

Top Urdushayar.com