ek bhī harf na thā ḳhush-ḳhabarī kā likkhā
nāma-e-vaqt milā aur kisī kā likkhā
aa base kitne na.e log makān-e-jāñ meñ
bām-o-dar par hai magar naam usī kā likkhā
mauja-e-ashk se bhīgī na kabhī nok-e-qalam
vo anā thī ki kabhī dard na jī kā likkhā
koī jiddat to koī husn-e-taġhazzul samjhā
marsiya jab bhī koī apnī sadī kā likkhā
baat shīrīñ sī lagī fan ke taraf-dāroñ ko
qissa har-chand 'hasan' koh-kanī kā likkhā