Hasan Naim

qasida tujhse ghazal tujhse marsiya tujhse

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
qasīda tujh se ġhazal tujh se marsiya tujh se
har ek harf huā sāhab-e-navā tujh se
zabāñ-kushā.ī-e-ġham se khulī kitāb-e-ḳhayāl
varaq varaq pe khulā husn-e-mudda.ā tujh se
zamīñ meñ phuuT paḌā chashma-e-junūñ-sāmāñ
guloñ meñ sard paḌī ātish-qabā tujh se
kahāñ se zūd-farāmoshiyoñ kī ḳhū sīkhī
jo dekhiye to na thī barq-āshnā tujh se
pahuñch to jaatā sar-e-ḳhema-e-vafā-ābād
magar hai sust qadam umr-e-tez-pā tujh se
kiye the kaam jo dil ke sipurd un ko bhī
dimāġh-e-dahr se baḌh kar hai ab gila tujh se
huā jo kūcha-e-tanqīd meñ 'hasan' rusvā
milāyā ġhaib ne 'ġhālib' kā silsila tujh se
Top Urdushayar.com